Poetries I like

USAY BHOOL JA

kahan aa kay ruknay thay rastay kahan moord tha usay bhol ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh jo nahi mila usay bhool ja

wo teray naseeb ki baarisheian kisi aur chhat per bars gyain
aay dil-e-bekhabar meri baat sun usay bohl ja usay bhool ja

main tu gum tha teray hi dhyaan main teri aas teray guman main
saba keh gyai meray kaan main meray saath aa usay bhool ja

kisi aankh main nahi ashke gum, teray baad khuch bhi nahi hai kum
tujhay zindagi nay bhula diya tu bhi muskara usay bhool ja

kahin chak jaan ka rafoo nahi kisi aastin pe laho nahi
keh sheheed rah milal ka nahi khoon baha usay bhool ja

kyon ata hua hai ghubar main gum zindagi kay fishar main
wo jo darj tha teray bakht mein so wo ho gaya usay bhool ja

na wo aankh hi teri aankh thi na wo khawaab hi tera khawaab tha
dil-e-muntazaar toh ye kis liye hai tera jagna...usay bhool ja

ye jo raat din ka hai kheel sa usay dekh us pe yaqeen na ker
nahi aaks koi bhi mustaqil ser-e-aainah usay bhool ja

jo basaat jaan hi ult gya wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se husool kya usay mat bula usay bhool ja

toh ye kis liye shub hijar kay usay her sitaray main dekhna
wo falak keh jis pe milay thay hum koi aur tha usay bhool ja

tujhay chand ban kay mila tha jo teray sahilon pe kihla tha jo
wo tha aik darya wasaal ka so utar gaya usay bhool ja

jo basaat jaan hi ulat gaya wo jo rastay se palat gaya
usay roknay se hasool kya usay mat bula usay bhool ja

wo teray naseeb ki baarisheian kisi aur chhat per bars gyain
aay dil-e-bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja

No comments: